Intezaar Shayari

Intezaar Shayari-इंतज़ार शायरी 

Intezaar-shayari

Ek Raat Wo Gaya Tha Jahan Baat Rok Ke,
Ab Tak Ruki Hui Hun Vahin Raat Rok Ke.


Ab To Uth Sakta Nahin Aankhon Se Baar-E-Intazaar
Kis Tarah Kaate Koi Lail-O-Nahaar-E-Intazaar


Jaan-E-Sukoon Aa Bhi Jaa Teraa Hi Intazaar Hai
Aankhon Se Ashk Hai Ravaan Jaan Bhi Beqaraar Hai


Lutf Jo Us Ke Intazaar Mein Hai
Vo Kahaan Mausam-E-Bahaar Men Hai


Un Ki Ulfat Ka Yaqin Ho Un Ke Aane Ki Ummeed
Hon Ye Donon Sooraten Tab Hai Bahaar-E-Intazaar


Un Ke Khat Ki Aarazoo Hai Un Ke Aamad Ka Khayaal
Kis Qadar Phailaa Huaa Hai Kaarobaar-E-Intazaar

-Hasrat Mohani


Tamaam Umr Teraa Intazaar Ham Ne Kiyaa
Is Intazaar Men Kis Kis Se Pyaar Ham Ne Kiyaa

-Hafiz Hoshiarpuri


Shayad Abhi Hai Raakh Mein Koi Sharar Bhi,
Kyon Varna Intezaar Bhi Hai Iztirar Bhi,

Dhyan Aa Gaya Hai Marg-E-Dil-E-Na-Murad Ka,
Milne Ko Mil Gaya Hai Sukoon Bhi, Qarar Bhi.

-Ada Jafri


Janta Hoon Sawaab-E-Taait-O-Zuhd,
Par Tabeeyat Idhar Nahin Aati.

-Mirza Ghalib


Koi Aayaa Na Aayegaa Lekin
Kya Karen Gar Na Intazaar Karen

-Firaq Gorakhpuri


Maut Ka Intazaar Baaqi Hai
Aap Ka Intazaar Tha Na Rahaa


-Fani Badayuni


Chalta Nahin Hai Mahfil-E-Husn-E-Jawaan Mein Kaam,
Har Jumbish-E-Nazar Se Ibadat Kieye Baghair.

-Josh Malihabadi


Sijda Nigah-E-Shauq Se, Aur Dil Se Guftagoo,
Hoti Hai Is Tarah Bhi Ibaadat Kabhi Kabhi.

-Ehsan Danish


Bandgi Mein Bhi Woh Azad-O-Khud-Been Hain Ke Hum,
Ulte Phir Aaye Dar-E-Kaa’ba Agar Waa Na Hua.

-Mirza Ghalib


Taaseer-E-Intezaar Ne Yeh Haal Kar Diya,
Aankhen Khuli Hui Hain Magar Dehhte Nahin.

-Akbar Allahabadi


Hai Kis Ka Intezaar Ke Khwab-E-Adarn Se Bhi,
Har Baar Chaunk Parte Hain Aawaaz-E-Pa Ke Saath.

-Momin


Hosh-O-Hawaas, Taab-O-Tawaan, Fikr-E-Shayari
Sab Kuchh Lutaa Diya Hai, Tere Intezaar Mein

-Kalim Akhtar


Subh Hote Hi Yeh Khayaal Aaya
Kyon Tera Intezaar Karte Hain

-Kalim Akhtar


Wafa-Ke Naam-Pe Vaa’da Tha, Sarphira-Hi Sahi,
Ye Intezaar To Har-Har Qadam-Pe Hona Tha.

-Shahid Jameel



Jo Bhi Bichhde Hain Kab Mile Hain 'Faraz'
Phir Bhi Too Intazaar Kar Shaayad

-Ahmad Faraz


Vo Mazaa Kahaan Vasl-E-Yaar Men
Lutf Jo Milaa Intazaar Mein

-Fana Nizami Kanpuri


Ye Na Thi Hamaari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hotaa
Agar Aur Jite Rahte Yahi Intazaar Hotaa

-Mirza Ghalib


Ghazab Kiya, Tere Vaade Pe Aitbaar Kiyaa
Tamaam Raat Qayaamat Ka Intazaar Kiyaa

-Daagh Dehlvi


Umr-E-Daraaz Maang Kar Laaye The Chaar Din
Do Arazoo Men Kat Gaye Do Intazaar Men

-Bahadur Shah Zafar


Shab-E-Intazaar Ki Kash-Ma-Kash Na Pooch Kaise Sahar Hui
Kabhi Ik Chiraagh Jalaa Diyaa Kabhi Ik Chiraagh Bujhaa Diyaa

-Majrooh Sultanpuri


Baagh-E-Bahisht Se Mujhe Hukm-E-Safar Diyaa Tha Kyon
Kaar-E-Jahaan Daraaz Hai Ab Meraa Intazaar Kar

-Allama Iqbal


Loote Maze Usi Ne Tere Intazaar Ke
Jo Hadd-E-Intazaar Se Aage Nikal Gayaa

-Asar Lucknawi


Hooron Ka Intezaar Kare Kaun Hashr Tak
Mitti Ki Bhi Mile To Rawa Hai Shabaab Mein

-Daagh Dehlvi


Na Poocho ‘Daagh’ Ham Se Intezaar-E-Yaar Ki Soorat
Yeh Aankhein Jaanti Hain Khoob Jo Naqshe Guzarte Hain

-Daagh Dehlvi


Khuda Kare Ki Mazaa Intezaar Ka Na Mite
Mere Sawaal Ka Woh Dein Jawaab Barson Mein

-Daagh Dehlvi


Hone Ko Fasl-E-Gul Bhi Hai Daavat-E-Aish Hai Magar
Apani Bahaar Kaa Mujhe Aaj Bhi Intazaar Hai

-Yahya Jasdanwalla


Din Guzar Gayaa Aitabaar Men
Raat Kat Gai Intazaar Men

-Fana' Nizami Kanpuri


Ik Umr Kat Gai Hai Tere Intazaar Men
Aise Bhi Hain Ke Kat Na Saki Jin Se Ek Raat

-Firaq Gorakhpuri


Vo Na Aaye Gaa Hamen Maaloom Tha Us Shaam Bhi
Intazaar Us Ka Magar Kuchh Soch Kar Karte Rahe

-Parveen Shakir


Be-Khudi Le Gai Kahaan Ham Ko
Der Se Intazaar Hai Apnaa

-Meer Taqi Meer


Teri Raahon Men Baarahaa Ruk Kar
Ham Ne Apnaa Hi Intazaar Kiyaa

-Gulzar


Mujh Ko Ye Aarzoo Vo Uthaayen Naqaab Khud
Un Ko Ye Intazaar Taqaazaa Kare Koi

-Majaz


Taa Phir Na Intazaar Men Neend Aaye Umr Bhar
Aane Kaa Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Men

-Mirza Ghalib


Kuchh Din Ye Bhi Rang Rahaa Intazaar Men
Aankh Uth Gai Jidhar Bas Udhar Dekhate Rahe

-Asar Lucknawi


Jis Mod Par Kiye The Ham Intazaar Barason
Us Se Lipat Ke Roye Divaanaavaar Barason

-Sudarshan Faakir


Ai Intazaar-E-Jaanaan Ham Jaanten Hain Tujhe
Kaati Hai Raat Ham Ne Karvat Badal Badal Ke


Tamaam Umr Teraa Intazaar Kar Lenge
Magar Ye Ranj Rahegaa Ki Zindagi Kam Hai

-Shahid Siddiqi


Paighaam Zindagi Ne Diyaa Maut Kaa Mujhe
Marane Ke Intazaar Men Jeenaa Padaa Mujhe

-Safi Lucknawi


Jab Nigaahen Uth Gain Allaah Re Meraaj-E-Shauq
Dekhtaa Kyaa Hoon Vo Jaan-E-Intazaar Aa Hi Gayaa

-Jigar Moradabadi


Ab Ki Baras Bhi Vo Nahin Aayaa Bahaar Men
Guzre Gaa Aur Ek Baras Intazaar Men

-Payam Saeedi


Kahaan Hai Too Ke Tere Intazaar Men Ai Dost
Tamaam Raat Sulagate Rahe Dil Ke Viraane

-Nasir Kazmi


Roz Jeetaa Huaa Roz Martaa Huaa
Har Naye Din Nayaa Intazaar Aadmi

-Nida Fazli


Aaj Ashkon Kaa Taar Toot Gayaa
Rishtaa-E-Intazaar Toot Gayaa

-Saifuddin Saif


Na Jis Ki Shakl Hai Koi Na Jis Kaa Naam Hai Koi
Ik Aisi Shai Kaa Kyon Hamen Azal Se Intazaar Hai

-Shahryar


Tum Aaye Ho Na Shab-E-Intazaar Guzari Hai
Talaash Men Hai Sahar Baar Baar Guzari Hai

-Faiz Ahmad Faiz


Phir Baithe Baithe Vaadaa-E-Vasl Us Ne Kar Liyaa
Phir Uth Khadaa Huaa Vahi Rog Intazaar Kaa

-Ameer Minai


Ik Intazaar Saa Thaa Ab Nazar Men Vo Bhi Nahin
Safar Men Marne Ki Fursat Thi Ghar Men Vo Bhi Nahin

-Mahashar Badayuni


Tooti Jo Aas Jal Gaye Palkon Pe Sau Chiraagh
Nikhraa Kuchh Aur Rang Shab-E-Intazaar Kaa

-Mumtaz Mirza


Ab Kis Ke Intazaar Men Jaagen Tamaam Shab
Vo Saath Ho To Neend Mein Kaise Khalal Pade

-Shehzad Ahmed


Meri Naash Ke Sirhaane Vo Khade Ye Kah Rahe Hain
Ise Nind Yoon Na Aati Agar Intazaar Hotaa

-Safi Lucknawi


Gham-E-Hayaat Se Dil Ko Abhi Nijaat Nahin
Nigaah-E-Naaz Se Kah Do Ki Intazaar Kare

-Shakeel Badayuni


Na Koi Vaadaa Na Koi Yaqin Na Koi Ummeed
Magar Hamen To Teraa Intazaar Karnaa Thaa

-Firaq Gorakhpuri


Too Paas Bhi Ho To Dil Be-Qaraar Apnaa Hai
Ke Ham Ko Teraa Nahin Intazaar Apnaa Hai

-Ahmad Faraz


Khizaan Ke Rang Men Abhi Bahaar Baaqi Hai
Chiraagh-E-Sahar Hai Par Intazaar Baaqi Hai

-Azra Adil Rashid


Main Zindaa Thaa Ki Teraa Intazaar Khatm Na Ho
Jo Too Milaa To Ab Sochtaa Hoon Mar Jaaoon

-Ahmed Nadeem Qasmi


Laut Aaoongaa Surkh-Roo Ho Kar
Saaraa Lashkar Is Intazaar Men Thaa

-Anees Amrohvi


Haalaat Kah Rahe Hain Ki Ab Vo Na Aayenge
Ummid Kah Rahi Hai Zaraa Intazaar Kar

-Irfan Abid


Duniyaa To Khair Chhod Ke Aage Nikal Gai
Tum Ne Bhi Intazaar Hamaaraa Nahin Kiyaa

-Irfan 'Abid'


Ham Intazaar Karenge Teraa Qayaamat Tak
Khudaa Kare Ki Qayaamat Ho Aur Too Aaye

-Sahir Ludhianvi


Dekho To Intezaar Sa Hai Kuchh.

-Mir Taqi Mir


Thak Gaye Hum Karte Karte Intezaar,
Ik Qayaamat Un Ka Aana Ho Gaya.

-Akhter Sheerani


Waada Aane Ka Wafa Keejiye, Yeh Kya Andaaz Hai,
Tum Ne Kyon Saunpi Hai Mere Ghar Hi Darbaani Mujhe.

-Mirza Ghalib


Na Jaana Ke Duniya Se Jaata Hai Koi,
Bahut Der Ki Meharbaan Aate Aate.

-Dagh

Reactions

Post a Comment

3 Comments

  1. Intzaar Shayari
    ज़रा ख्याल तो करो
    कभी पलट के आने का,
    ताकि हमे भी मौका मिले
    दिल से मुस्कुराने का।

    ReplyDelete