Khamoshi Shayari-ख़ामोशी शायरी
Meri Khamoshi Se Kisi Ko Koi Fark Nahin Padta,
Aur Shikayat Me Do Lafj Kah Du To Wo Chubh Jate Hain.
Kyun Karte Ho Mujhse Itni Khamosh Mohabbat,
Log Samjhte Hain Iss BadNaseeb Ka Koi Nahi.
Unse Keh Do Kisi Aur Se Mohabbat Ki Na Soche,
Ek Hum Hi Kafi Hain Unki Khamosh Zindagi Ke Liye.
Khamosh Tum Bhi The Aur Khamosh Main Bhi Thaa
Phir Vo Kaun Thaa Jo Itni Der Boltaa Rahaa
Moonh Ki Baat Sune Har Koi Dil Ke Dard Ko Jaane Kaun
Aavaazon Ke Baazaaron Mein Khamoshi Pahchaane Kaun
Ye Sukoot-E-Naaz Ye Dil Ki Ragon Ka Tootnaa
Khamoshi Mein Kuchh Shikast-E-Saaz Ki Baaten Karo
-Firaq
Kah Rahaa Hai Dariya Se Samandar Ka Sukoot
Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Vo Khaamosh Hai
-Allama Iqbal
Zulmat Kade Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai
Ek Shamma Hai Daleel-E-Sahar So Khamosh Hai
-Mirza Ghalib
Khamosh Ai Dil Bhari Mahafil Mein Chillaanaa Nahin Achhaa
Adab Pahlaa Qareenaa Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein
-Allama Iqbal
Bazm Mein Us Ke Roo-Ba-Roo Kyoon Na Khamosh Baithiye
Us Ki To Khamoshi Mein Bhi Hai Ye Hi Mudda'a Ki Yoon
-Mirza Ghalib
Umr Bhar Jaltaa Rahaa Dil Aur Khamoshi Ke Saath
Shamma Ko Ek Raat Ki Soz-E-Dili Pe Naaz Thaa
-Saqib Lucknawi
Khamoshi Khud Apni Sadaa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
Sannaata Hi Goonj Raha Ho Aisaa Bhi Ho Sakta Hai
-Zaka Siddiqui
O Aasmaan Vaale Kabhi To Nigaah Kar
Kab Tak Ye Zulm Sahte Rahen Khamoshi Se Ham
-Sahir Ludhianvi
Main Ne Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Javaab
Lekin Khamosh Kyoon Hai Too Koi Faislaa To De
-Rana Sahri
Lab-E-Khamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Baat Karne Ko Bhi Tasveer Kaa Lahajaa Chaahe
-Muzaffar Warsi
Uff Khamoshi Ki Ye Aahen Dil Ko Bharmaati Hui
Uff Ye Sannaate Ki Shahnaai Kise Aavaaz Doon
-Josh Malihabadi
Khamoshi Kaa Haasil Bhi Ek Lambi Si Khamoshi Hai
Un Ki Baat Suni Bhi Ham Ne Apni Baat Sunaai Bhi
-Gulzar

0 Comments