Allama Iqbal
Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain...
Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain,
Abhi Ishq Ke Imtihaan Aur Bhi Hain,
Tahi Zindagi Se Nahin Ye Fazaayen
Yahaan Saikaron Kaarawan Aur Bhi Hain,
Qana’t Na Kar Aalam-E-Rang-O-Bu-Par
Chaman Aur Bhi, Aashiyaan Aur Bhi Hain,
Agar Kho Gaya Ek Nasheman To Kya Gham
Maqaamat-E-Aah-O-Fughan Aur Bhi Hain,
Too Shaahin Hai Parwaaz Hai Kaam Tera
Tere Saamne Aasmaan Aur Bhi Hain,
Isi Roz-O-Shab Mein Ulajh Kar Na Rah Jaa
Isi Roz-O-Shab Mein Ulajh Kar Na Rah Jaa
Ki Tere Zameen-O-Makaan Aur Bhi Hain,
Gaey Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahaan Ab Mere Raazadaan Aur Bhi Hain.
Hindi Shayari status: Click Here
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hoon...
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hoon
Meri Saadgi Dekh Kya Chahta Hoon,
Sitam Ho Ki Ho Vaada-E-Be-Hijaabi
Koi Baat Sabr Aazma Chahta Hoon,
Ye Jannat Mubarak Rahe Zaahidon Ko
Ki Main Aap Ka Saamna Chaahta Hoon,
Koi Dam Ka Mehmaan Hoon Ai Ahal-E-Mehfil
Chiraagh-E-Sahar Hoon, Bujha Chahta Hoon,
Bhari Bazm Main Raaz Ki Baat Kah Di
Bada Be Adab Hoon, Saza Chahta Hoon.
Allama Iqbal ki Best Shayari....
Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab -E-Khud-Aagaahi,
Khulte Hain Ghulamon Par, Asraar-E-Shahanshahi.
Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab -E-Khud-Aagaahi,
Khulte Hain Ghulamon Par, Asraar-E-Shahanshahi.
Mohabbat Se Shifa Paai Hai Beemaar Qaumon Ne,
Kiya Hai Apne Bakht-E-Khufta Ko Bedaar Qaumon Ne.
Kiya Hai Apne Bakht-E-Khufta Ko Bedaar Qaumon Ne.
Mohabbat Ke Liye Dil Dhoond Koi Tootne Wala,
Yeh Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Naazuk Aab-Geenon Mein.
Yeh Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Naazuk Aab-Geenon Mein.
Pukhta Hoti Hai Agar Maslahat-Andesh Ho Aql,
Ishq Ho Maslahat-Andesh To Hai Khaam Abhi.
Ishq Ho Maslahat-Andesh To Hai Khaam Abhi.
Anokhi Waza’ Hai Saare Zamaane Se Niraale Hain,
Yeh Aashiq Kaun Si Basti Ke Yaa-Rab Rahne Waale Hain.
Yeh Aashiq Kaun Si Basti Ke Yaa-Rab Rahne Waale Hain.
Bayabaan-E-Mohabbat Dasht-E-Ghurbat Bhi, Watan Bhi Hai,
Yeh Weerana Qafas Bhi, Aashiyana Bhi, Chaman Bhi Hai.
Yeh Weerana Qafas Bhi, Aashiyana Bhi, Chaman Bhi Hai.
Terey Ishq Ki Intahaa Chaahta Hoon
Meri Saadgi Dekh Kya Chaahta Hoon
Meri Saadgi Dekh Kya Chaahta Hoon
Ishq Dam-E-Jibraeel, Ishq Dil-E-Mustafa
Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam
Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam
Ishq Bhi Ho Hijaab Mein Husn Bhi Ho Hijaab Mein
Yaa Tu Khud Aashkaar Ho Yaa Mujh Ko Aashkaar Kar
Yaa Tu Khud Aashkaar Ho Yaa Mujh Ko Aashkaar Kar
Koh-Kan-O-Majnoon Ki Khaatir Dasht-O-Koh Mein Hum Na Gaye
Ishq Mein Hum Ko ‘Meer’ Nehaayat Paas-E-Izzat Daaraan Hai
Ishq Mein Hum Ko ‘Meer’ Nehaayat Paas-E-Izzat Daaraan Hai
Be-Khatar Kood Para Aatish-E-Namrood Mein Ishq
Aqal Thi Mehv-E-Tamasha Lab-E-Baam Abhi
Sad Shayari Status: Click Here
Aqal Thi Mehv-E-Tamasha Lab-E-Baam Abhi
Sad Shayari Status: Click Here
Allama Iqbal ke Chuninda Sher
ख़ुदी को कर बुलंद इतना कि हर तक़दीर से पहले,
ख़ुदा बंदे से ख़ुद पूछे बता तेरी रज़ा क्या है.
माना कि तेरी दीद के क़ाबिल नहीं हूँ मैं,
तू मेरा शौक़ देख मिरा इंतज़ार देख.
हज़ारों साल नर्गिस अपनी बे-नूरी पे रोती है,
बड़ी मुश्किल से होता है चमन में दीदा-वर पैदा.
दुनिया की महफ़िलों से उकता गया हूं या रब,
क्या लुत्फ़ अंजुमन का जब दिल ही बुझ गया हो.
फ़क़त निगाह से होता है फ़ैसला दिल का,
न हो निगाह में शोख़ी तो दिलबरी क्या है.
सारे जहां से अच्छा हिन्दोस्तां हमारा,
हम बुलबुलें हैं इस की ये गुलसितां हमारा.
ढूंढ़ता फिरता हूं मैं 'इक़बाल' अपने आप को,
आप ही गोया मुसाफ़िर आप ही मंज़िल हूं मैं.
मन की दौलत हाथ आती है तो फिर जाती नहीं,
तन की दौलत छाँव है आता है धन जाता है धन.
नशा पिला के गिराना तो सब को आता है,
मज़ा तो तब है कि गिरतों को थाम ले साक़ी.
दिल से जो बात निकलती है असर रखती है,
पर नहीं ताक़त-ए-परवाज़ मगर रखती है.
तौहीद की अमानत सीनों में है हमारे,
आसाँ नहीं मिटाना नामो-निशाँ हमारा.
आसाँ नहीं मिटाना नामो-निशाँ हमारा.
Tahi Zindagi Se Nahin Ye Fizaayen
Yahaan Saikadon Kaaravaan Aur Bhi Hain
Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi Jahannum Bhi
Ye Khaaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai
Zindagi Insaan Ki Hai Maanind-E.Murgh-E-Khush-Nawa,
Shaakh Par Baitha Koi Dam, Chahchahaaya, Ud Gaya.
Zindagi Ki Aag Ka Anjaam Khaakstar Nahin,
Tootna Jis Ka Muqaddar Ho, Yeh Woh Gauhar Nahin.
Tu Ise Paimaana-E-Imrooz-O-Farda Se Na Naap,
Jaawedaan, Paiham Rawaan, Har Dam Jawaan Hai Zindagi.
Zindagi Aamad Baraa-E-Bandagi
Zindgi Be-Bandagi, Sharmindagi
Bartar Andesha, Sod-O-Zayan Hai Zindagi
Hai Kabhi Jaan Aur Kabi Tasleem-E-Jaan Hai Zindagi

2 Comments
Awesome
ReplyDeleteNice
ReplyDelete